Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko KHuda Samjha Tha Main

un ko but samjha tha ya un ko KHuda samjha tha main

han bata de ai jabin-e-shauq kya samjha tha main

allah allah kya inayat kar gai mizrab-e-ishq

warna saz-e-zindagi ko be-sada samjha tha main

un se shikwa kyun karun un se shikayat kya karun

KHud baDi mushkil se apna muddaa samjha tha main

meri haalat dekhiye mera taDapna dekhiye

aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main

khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naz se

kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main

ai jabin-e-shauq han tujh ko baDi zahmat hui

aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main

ek nazar par munhasir thi zist ki kul kaenat

har nazar ko jaan jaan-e-muddaa samjha tha main

aa raha hai kyun kisi ka nam honTon tak mere

ai dil-e-muztar tujhe sabr-azma samjha tha main

aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar

aap ko hadd-e-nazar se mawara samjha tha main

ye fughan ye shor ye nale ye shewan the fuzul

kya batati thi mohabbat aur kya samjha tha main

us nigah-e-naz ne 'bahzad' mujh ko kho diya

jis nigah-e-naz ko apni dawa samjha tha main

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko KHuda Samjha Tha Main In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko KHuda Samjha Tha Main is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko KHuda Samjha Tha Main for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko KHuda Samjha Tha Main in PDF.