Tamanna Ban Gai Hai Maya-e-ilzam Kya Hoga

tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga

magar dil hai abhi tak tishna-e-paigham kya hoga

wo betab-e-tamasha hi sahi ai tab-e-nazzara

laraz uThta hai dil ye soch kar anjam kya hoga

yahan jo kuchh bhi hai wo partaw-e-ehsas hai saqi

ba-juz baada jawab-e-gardish-e-ayyam kya hoga

kabhi jis ke yaqin se kaenat-e-ishq raushan thi

wahi ab hai asir-e-halqa-e-auham kya hoga

junun-e-shauq ka aalam hama masti sahi lekin

ye aalam bhi jawab-e-shoKHi-e-paigham kya hoga

chale to ho mizaj-e-yar ki pursish ko ai 'bekal'

magar ye soch lo andaz-e-istifham kya hoga

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamanna Ban Gai Hai Maya-e-ilzam Kya Hoga In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Tamanna Ban Gai Hai Maya-e-ilzam Kya Hoga is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Tamanna Ban Gai Hai Maya-e-ilzam Kya Hoga for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Tamanna Ban Gai Hai Maya-e-ilzam Kya Hoga in PDF.