Is Bazm Mein Na Hosh Rahega Zara Mujhe

is bazm mein na hosh rahega zara mujhe

ai shauq-e-harza-taz kahan le chala mujhe

ye dard-e-dil hi zist ka bais hai chaara-gar

mar jaunga jo aai muafiq dawa mujhe

is zauq-e-ibtila ka maza us ke dam se hai

sab kuchh mila mila ho dil-e-mubtala mujhe

dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin

bas ai talash-e-yar na dar dar phira mujhe

ye dil se dur ho na dikhae KHuda wo din

zalim tera KHayal hai dil se siwa mujhe

ranj-o-malal o hasrat-o-arman-o-arzu

jaane se ek dil ke bahut kuchh mila mujhe

main jaanta hun aap hain mast apne haal mein

'beKHud' nahin hai aap se mutlaq gila mujhe

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bazm Mein Na Hosh Rahega Zara Mujhe In English By Famous Poet Bekhud Badayuni. Is Bazm Mein Na Hosh Rahega Zara Mujhe is written by Bekhud Badayuni. Read famous Poem Is Bazm Mein Na Hosh Rahega Zara Mujhe for youth and Student by Bekhud Badayuni. Free Download Is Bazm Mein Na Hosh Rahega Zara Mujhe in PDF.