Kyun Main Ab Qabil-e-jafa Na Raha

kyun main ab qabil-e-jafa na raha

kya hua kahiye mujh mein kya na raha

un ki mahfil mein us ke charche hain

mujh se achchha mera fasana raha

waiz o mohtasib ka jamghaT hai

mai-kada ab to mai-kada na raha

uf-re na-ashnaiyan us ki

chaar din bhi to aashna na raha

lakh parde mein koi kyun na chhupe

raaz-e-ulfat to ab chhupa na raha

itni mayusiyan bhi kya 'beKHud'

kya KHuda ka bhi aasra na raha

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Main Ab Qabil-e-jafa Na Raha In English By Famous Poet Bekhud Badayuni. Kyun Main Ab Qabil-e-jafa Na Raha is written by Bekhud Badayuni. Read famous Poem Kyun Main Ab Qabil-e-jafa Na Raha for youth and Student by Bekhud Badayuni. Free Download Kyun Main Ab Qabil-e-jafa Na Raha in PDF.