Ab Is Se Kya Tumhein Tha Ya Umid-war Na Tha

ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha

tumhaare wasl ka tum se to KHwast-gar na tha

sharab pite hi wo khul gae wo khul khele

shab-e-visal mein kuchh lutf-e-intizar na tha

na jhapki jab shab-e-wada palak to hum samjhe

ye koi aur bala thi ye intizar na tha

wo tir aap ke tarkash mein kaun sa nikla

jo be-chale bhi hamare jigar ke par na tha

wo mar gaya hai to kya hai hamein bhi marna hai

KHuda gawah hai 'beKHud' wo sharab-KHwar na tha

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Is Se Kya Tumhein Tha Ya Umid-war Na Tha In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Ab Is Se Kya Tumhein Tha Ya Umid-war Na Tha is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Ab Is Se Kya Tumhein Tha Ya Umid-war Na Tha for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Ab Is Se Kya Tumhein Tha Ya Umid-war Na Tha in PDF.