Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap

waqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap

dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap

milne ko roz milte hain yun to sabhi se aap

sab ko jawab degi nazar hasb-e-muddaa

sun lije sab ki baat na kije kisi se aap

marna mera ilaj to be-shak hai soch lun

ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap

hoga juda ye hath na gardan se wasl mein

Darta hun uD na jaen kahin nazuki se aap

zahid KHuda gawah hai hote falak par aaj

lete KHuda ka nam agar aashiqi se aap

ab ghurne se faeda bazm-e-raqib mein

dil par chhuri to pher chuke be-ruKHi se aap

dushman ka zikr kya hai jawab us ka dijiye

raste mein kal mile the kisi aadmi se aap

shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk

hote hain mustafiz meri zindagi se aap

dil to nahin kisi ka tujhe toDte hain hum

pahle chaman mein puchh len itna kali se aap

main bewafa hun ghair nihayat wafa shiar

mera salam lije milen ab usi se aap

aadhi to intizar hi mein shab guzar gai

us par ye turra so bhi rahenge abhi se aap

badla ye rup aap ne kya bazm-e-ghair mein

ab tak meri nigah mein hain ajnabi se aap

parde mein dosti ke sitam kis qadar hue

main kya bataun puchhiye ye apne ji se aap

ai shaiKH aadmi ke bhi darje hain muKHtalif

insan hain zarur magar wajibi se aap

mujh se salah li na ijazat talab hui

be-wajh ruTh baiThe hain apni KHushi se aap

'beKHud' yahi to umr hai aish o nashat ki

dil mein na apne tauba ki Thanen abhi se aap

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap in PDF.