Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte

aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte

hum dil ki tarah chaak gareban nahin rakhte

sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat

dil rakhte hain dil mein koi arman nahin rakhte

nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se

apni bhi wo zulfon ko pareshan nahin rakhte

rakhne ko to rakhte hain KHabar sare jahan ki

ek mere hi dil ki wo KHabar han nahin rakhte

ghar kar gain dil mein wo mohabbat ki nigahen

un tiron ka zaKHmi hun jo paikan nahin rakhte

dil de koi tum ko to kis ummid par ab de

tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte

rahta hai nigahban mera un ka tasawwur

wo mujh ko akela shab-e-hijran nahin rakhte

dushman to bahut hazrat-e-naseh hain hamare

han dost koi aap sa nadan nahin rakhte

dil ho jo pareshan to dam bhar bhi na Thahre

kuchh bandh ke to gesu-e-pechan nahin rakhte

go aur bhi aashiq hain zamane mein bahut se

'beKHud' ki tarah ishq ko pinhan nahin rakhte

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte in PDF.