KHuda Rakkhe Tujhe Meri Burai Dekhne Wale

KHuda rakkhe tujhe meri burai dekhne wale

wafadari mein tarz-e-bewafai dekhne wale

sambhal ab nala-e-dil ki rasai dekhne wale

qayamat Dhaenge roz-e-judai dekhne wale

tere KHanjar ko bhi teri tarah hasrat se takte hain

teri nazuk kamar nazuk kalai dekhne wale

jhijak kar aaine mein aks se apne wo kahte hain

yahan bhi aa gae surat parai dekhne wale

palak jhapki ki dil ghaeb baghal KHali nazar aai

teri nazron ki dekhenge safai dekhne wale

inhin aankhon se tu ne nek-o-bad aalam ka dekha hai

idhar to dekh ai sari KHudai dekhne wale

gire ghash kha ke jab musa kaha barq-e-tajalli ne

qayamat tak na dega wo dikhai dekhne wale

meri mayyat pe ban aai hai un ki sab se kahte hain

wafadaron ki dekhen bewafai dekhne wale

nazar milti hai pichhe pahle tanti hain bhanwen un ki

kahan tak dekhe jaen kaj-adai dekhne wale

miTa inkar to hujjat ye nikli munh dikhane mein

ki pahle jama kar den ru-numai dekhne wale

kahan tak roen qismat ke likhe ko bas ulaT parda

tujhe dekhenge ab teri KHudai dekhne wale

kabhi qadmon mein tha ab un ke dil mein hai jagah meri

mujhe dekhen muqaddar ki rasai dekhne wale

koi itna nahin jo aa ke puchhe hijr mein 'beKHud'

tera kya haal hai ranj-e-judai dekhne wale

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Rakkhe Tujhe Meri Burai Dekhne Wale In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. KHuda Rakkhe Tujhe Meri Burai Dekhne Wale is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem KHuda Rakkhe Tujhe Meri Burai Dekhne Wale for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download KHuda Rakkhe Tujhe Meri Burai Dekhne Wale in PDF.