Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain

na arman ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain

shab-e-wada wo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain

pareshan zulf munh utra hua mahjub si aankhen

wo bazm-e-ghair se aashiq ki surat ban ke aate hain

bane hain shaiKH-sahib naql-e-majlis bazm-e-rindan mein

jahan tashrif le jate hain hazrat ban ke aate hain

na rakhna hum se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki

wo jis ke pas aate hain amanat ban ke aate hain

sitam ki KHwahishen 'beKHud' ghazab ki aarzuen hain

jawani ke ye din shayad musibat ban ke aate hain

(928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain in PDF.