Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata

na kyun-kar nazr dil hota na kyun-kar dam mera jata

akela bhejta us ko wo KHali hath kya jata

janaze par bhi wo aate to munh ko Dhank kar aate

hamari jaan le kar bhi na andaz-e-haya jata

tumhaari yaad mera dil ye donon chalte purze hain

jo in mein se koi miTta mujhe pahle miTa jata

teri chitwan ke bal ko hum ne qatil tak rakha tha

kidhar maqtal mein bach kar hum se ye tir-e-qaza jata

maza jab tha qayamat tak na aata hosh 'beKHud' ko

pilai thi jo mai saqi ne itni to pila jata

(682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata in PDF.