Wo Dekhte Jate Hain Kanakhiyon Se Idhar Bhi

wo dekhte jate hain kanakhiyon se idhar bhi

chalta hua jadu hai mohabbat ki nazar bhi

uThne ki nahin dekhiye shamshir-e-nazar bhi

pahle hi lachakti hai kalai bhi kamar bhi

phuTen meri aankhen jo kuchh aata ho nazar bhi

duniya se alag chiz hai furqat ki sahar bhi

saqi kabhi mil jae mohabbat ka samar bhi

in aankhon ka sadqa koi saghar to idhar bhi

betab hun kya chiz chura li hai nazar ne

hone ko to dil bhi hai mere pas jigar bhi

ghar samjha hun jis ko kahin turbat to nahin hai

aati hai yahan sham ki surat mein sahar bhi

KHamosh hun main aur wo kuchh puchh rahe hain

mathe pe shikan bhi hai inayat ki nazar bhi

us ke lab-e-rangin ki nazakat hai na rangat

ghunche bhi bahut dekh liye hain gul-e-tar bhi

aati hai nazar dur hi se husn ki KHubi

kuchh aur hi hoti hai jawani ki nazar bhi

haTti hai jo aaina se paD jati hai dil par

kya shoKH nazar hai ki udhar bhi hai idhar bhi

bimar-e-mohabbat ka KHuda hai jo sambhal jae

hai sham bhi maKHdush judai ki sahar bhi

mai-KHana-e-ishrat na sahi kunj-e-gareban

aankhon ke chhalakte hue saghar hain idhar bhi

mil jaen agar mujh ko to main KHizr se puchhun

dekhi hai kahin sham-e-judai ki sahar bhi

ai shauq-e-shahadat kahin qismat na palaT jae

bandhi to hai talwar bhi qatil ne kamar bhi

ai dil teri aahen to sunin kanon se hum ne

ab ye tu bata us pe karengi ye asar bhi

ek rashk ka pahlu to hai samjhun ki na samjhun

gardan bhi hai KHam aap ki nichi hai nazar bhi

kuchh kan mein kal aap ne irshad kiya tha

mushtaq usi baat ka hun bar-e-digar bhi

sofar bhi rangin kiye hath bhi us ne

aaya hai baDe kaam mera KHun-e-jigar bhi

chhupti hai koi baat chhupae se sar-e-bazm

uDte ho jo tum hum se to uDti hai KHabar bhi

yun hijr mein barson kabhi lagti hi nahin aankh

so jata hun jab aa ke wo kah deti hain mar bhi

khulta hi nahin beKHud-e-badnam ka kuchh haal

kahte hain farishta bhi use log bashar bhi

(1545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dekhte Jate Hain Kanakhiyon Se Idhar Bhi In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Wo Dekhte Jate Hain Kanakhiyon Se Idhar Bhi is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Wo Dekhte Jate Hain Kanakhiyon Se Idhar Bhi for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Wo Dekhte Jate Hain Kanakhiyon Se Idhar Bhi in PDF.