Ajab Jauban Hai Gul Par Aamad-e-fasl-e-bahaari Hai

ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai

shitab aa saqiya gul-ru ki teri yaadgari hai

riha karta hai sayyaad-e-sitamgar mausam-e-gul mein

asiran-e-qafas lo tum se ab ruKHsat hamari hai

kisi pahlu nahin aaram aata tere aashiq ko

dil-e-muztar taDapta hai nihayat be-qarari hai

safai dekhte hi dil phaDak jata hai bismil ka

are jallad tere tegh ki kya aab-dari hai

dila ab to firaq-e-yar mein ye haal hai apna

ki sar zanu pe hai aur KHun-e-dil aankhon se jari hai

ilahi KHair kijo kuchh abhi se dil dhaDakta hai

suna hai manzil awwal ki pahli raat bhaari hai

'rasa' mahw-e-fasahat dost kya dushman bhi hain sare

zamane mein tere tarz-e-suKHan ki yaadgari hai

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Jauban Hai Gul Par Aamad-e-fasl-e-bahaari Hai In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Ajab Jauban Hai Gul Par Aamad-e-fasl-e-bahaari Hai is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Ajab Jauban Hai Gul Par Aamad-e-fasl-e-bahaari Hai for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Ajab Jauban Hai Gul Par Aamad-e-fasl-e-bahaari Hai in PDF.