Asiran-e-qafas Sehn-e-chaman Ko Yaad Karte Hain

asiran-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain

bhala bulbul pe yun bhi zulm ai sayyaad karte hain

kamar ka tere jis dam naqsh hum ijad karte hain

to jaan farman aa kar mani o bahzad karte hain

pas-e-murdan to rahne de zamin par ai saba mujh ko

ki miTTi KHaksaron ki nahin barbaad karte hain

dam-e-raftar aati hai sada pazeb se teri

lahad ke KHastagan uTTho masiha yaad karte hain

qafas mein ab to ai sayyaad apna dil taDapta hai

bahaar aai hai murghan-e-chaman fariyaad karte hain

bata de ai nasim-e-subh shayad mar gaya majnun

ye kis ke phul uThte hain jo gul fariyaad karte hain

masal sach hai bashar ki qadar neamat baad hoti hai

suna hai aaj tak hum ko bahut wo yaad karte hain

lagaya baghban ne zaKHm-e-kari dil pe bulbul ke

gareban-chaak ghunche hain to gul fariyaad karte hain

'rasa' aage na likh ab haal apni be-qarari ka

ba-rang-e-ghuncha-lab mazmun tere fariyaad karte hain

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asiran-e-qafas Sehn-e-chaman Ko Yaad Karte Hain In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Asiran-e-qafas Sehn-e-chaman Ko Yaad Karte Hain is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Asiran-e-qafas Sehn-e-chaman Ko Yaad Karte Hain for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Asiran-e-qafas Sehn-e-chaman Ko Yaad Karte Hain in PDF.