UTha Ke Naz Se Daman Bhala Kidhar Ko Chale

uTha ke naz se daman bhala kidhar ko chale

idhar to dekhiye bahr-e-KHuda kidhar ko chale

meri nigahon mein donon jahan hue tarik

ye aap khol ke zulf-e-dota kidhar ko chale

abhi to aae ho jaldi kahan hai jaane ki

uTho na pahlu se Thahro zara kidhar ko chale

KHafa ho kis pe bhanwen kyun chaDhi hain KHair to hai

ye aap tegh pe dhar kar jila kidhar ko chale

musafiran-e-adam kuchh kaho azizon se

abhi to baiThe the hai hai bhala kidhar ko chale

chaDhi hain tewriyan kuchh hai mizha bhi jumbish mein

KHuda hi jaane ye tegh-e-ada kidhar ko chale

gaya jo main kahin bhule se un ke kuche mein

to hans ke kahne lage hain 'rasa' kidhar ko chale

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTha Ke Naz Se Daman Bhala Kidhar Ko Chale In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. UTha Ke Naz Se Daman Bhala Kidhar Ko Chale is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem UTha Ke Naz Se Daman Bhala Kidhar Ko Chale for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download UTha Ke Naz Se Daman Bhala Kidhar Ko Chale in PDF.