Rahe Na Ek Bhi Bedad-gar Sitam Baqi

rahe na ek bhi bedad-gar sitam baqi

ruke na hath abhi tak hai dam mein dam baqi

uTha dui ka jo parda hamari aankhon se

to kabe mein bhi raha bas wahi sanam baqi

bula lo baalin pe hasrat na dil mein mere rahe

abhi talak to hai tan mein hamare dam baqi

lahad pe aaenge aur phul bhi uThaenge

ye ranj hai ki na us waqt honge hum baqi

ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke

raha jahan mein sikandar na aur na jam baqi

tum aao tar se marqad pe hum qadam chumen

faqat yahi hai tamanna teri qasam baqi

'rasa' ye ranj uThaya firaq mein tere

rahe jahan mein na aaKHir ko aah hum baqi

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahe Na Ek Bhi Bedad-gar Sitam Baqi In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Rahe Na Ek Bhi Bedad-gar Sitam Baqi is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Rahe Na Ek Bhi Bedad-gar Sitam Baqi for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Rahe Na Ek Bhi Bedad-gar Sitam Baqi in PDF.