Kaisi Kaisi Nahin Karta Raha Man-mani Main

kaisi kaisi nahin karta raha man-mani main

soch kar apne liye likhta tha la-fani main

bhiD mein sab ki tarah zulm pe chup-chap raha

aaj phir ek dafa mar gaya insani main

paida hone ke to matlab na rahe honge kuchh

bas ki ab marna nahin chahta be-mani main

ek tariKH ki tamir kare wo lamha

ek samundar jo rache bund wahi yani main

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Kaisi Nahin Karta Raha Man-mani Main In English By Famous Poet Bhavesh Dilshad. Kaisi Kaisi Nahin Karta Raha Man-mani Main is written by Bhavesh Dilshad. Read famous Poem Kaisi Kaisi Nahin Karta Raha Man-mani Main for youth and Student by Bhavesh Dilshad. Free Download Kaisi Kaisi Nahin Karta Raha Man-mani Main in PDF.