Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain

jam-e-gadai hath mein le nit sanj-sawere phirte hain

shams-o-qamar ye donon bhikari husn ke tere phirte hain

muddat se hai aKHtar-e-talea mah-jabin bin gardish mein

khol tu bahman pothi apni kab din mere phirte hain

panDit puchho hath dikhao fal khulao koi par

din jo hon bargashta apne kis ke phere phirte hain

aql-o-farasat salb hue sab hae junun re wae junun

galiyon galiyon laDke hum ko ghere ghere phirte hain

yun kandhe par zulfen us ki bal khati hain waqt-e-KHiram

mar-e-siyah ko Dal gale mein jaise sapere phirte hain

jog liya 'ashufta' hum ne dekh laTak un zulfon ki

galiyon galiyon haal-e-pareshan baal bikhere phirte hain

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain In English By Famous Poet Bhure Khan Ashufta. Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain is written by Bhure Khan Ashufta. Read famous Poem Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain for youth and Student by Bhure Khan Ashufta. Free Download Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain in PDF.