Teri Talash Mein Nikla To Rasta Hua Main

teri talash mein nikla to rasta hua main

so tere panw mein hun rah dekhta hua main

chaTaKH raha hun to ab is mein kya tajjub hai

KHud apne bojh tale hi raha daba hua main

kahin khincha raha duniya se misl-e-dast-e-faqir

misal-e-dast-e-tamanna kahin baDha hua main

ajib qaid thi jis mein bahut KHushi thi mujhe

ab ashk thamte nahin hain ye kya riha hua main

ye dekh ghaur se pahchan apni karigari

ki tere chaak se utra tha kal bana hua main

bas ek choT lagi thi ki band TuT gaya

aur apna-ap baha le gaya thama hua main

zamane dekhte hain kitni der chalti hai

bahut Data hua tu hai bahut jama hua main

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Talash Mein Nikla To Rasta Hua Main In English By Famous Poet Bilal Ahmad. Teri Talash Mein Nikla To Rasta Hua Main is written by Bilal Ahmad. Read famous Poem Teri Talash Mein Nikla To Rasta Hua Main for youth and Student by Bilal Ahmad. Free Download Teri Talash Mein Nikla To Rasta Hua Main in PDF.