Apni To Koi Baat Banae Nahin Bani

apni to koi baat banae nahin bani

kuchh hum na kah sake to kuchh us ne nahin suni

yun to chahaar samt hai apne hisar-e-shab

hum tirgi ko chhed ke late hain raushni

nadida manzaron se tarashe hain KHwab zar

kab dar-KHur-e-nigah koi manzar hai didani

ochha tha war us ka magar hum na bach sake

kisi zahr mein bujhai thi us shaKHs ne ani

har-dil-aziz wo bhi hai hum bhi hain KHush-mizaj

ab kya bataen kaise hamari nahin bani

auron ki tarah hum bhi magar jhel jaenge

sab zindagi samajhte hain jis ko wo jaan-kani

'bilqis' apni baat to sab se alag rahi

na-guftani suni hai kahi na-shunidani

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni To Koi Baat Banae Nahin Bani In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Apni To Koi Baat Banae Nahin Bani is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Apni To Koi Baat Banae Nahin Bani for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Apni To Koi Baat Banae Nahin Bani in PDF.