Badan Pe ZaKHm Sajae Lahu Labaada Kiya

badan pe zaKHm sajae lahu labaada kiya

har ek sang se yun hum ne istifada kiya

hai yun ki kuchh to baghawat-sirisht hum bhi hain

sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiya

hamein to maut bhi de koi kab gawara tha

ye apna qatl to bil-qasd bil-irada kiya

bas ek jaan bachi thi chhiDak di rahon par

dil-e-gharib ne ek ehtimam sada kiya

jo jis jagah ke tha qabil use wahin rakkha

na ziyaada kam kiya hum ne na kam ziyaada kiya

bacha liya hai jo sar apna saKHt nadim hain

magar ye apna tahaffuz to be-irada kiya

na lauTne ka hai rasta na Thaharne ki hai ja

kidhar ka aaj junun ne mere irada kiya

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Pe ZaKHm Sajae Lahu Labaada Kiya In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Badan Pe ZaKHm Sajae Lahu Labaada Kiya is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Badan Pe ZaKHm Sajae Lahu Labaada Kiya for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Badan Pe ZaKHm Sajae Lahu Labaada Kiya in PDF.