Kab Ek Rang Mein Duniya Ka Haal Thahra Hai

kab ek rang mein duniya ka haal Thahra hai

KHushi ruki hai na koi malal Thahra hai

taDap rahe hain paDe roz o shab mein uljhe log

nafas nafas koi pechida jal Thahra hai

KHud apni fikr ugati hai wahm ke kanTe

ulajh ulajh ke mera har sawal Thahra hai

bas ek khanDar mere andar jiye hi jata hai

ajib haal hai mazi mein haal Thahra hai

kabhi nahin tha na ab hai KHayal-e-sud-o-ziyan

wahi to hoga jo apna maal Thahra hai

us ek baat ko guzre zamana bit gaya

magar dilon mein abhi tak malal Thahra hai

junun ke sae mein ab ghar bana liya dil ne

chalo kahin to wo aawara-haal Thahra hai

baDe kamal ka nikla wo aadmi 'bilqis'

ki be-hunar hai magar ba-kamal Thahra hai

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Ek Rang Mein Duniya Ka Haal Thahra Hai In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Kab Ek Rang Mein Duniya Ka Haal Thahra Hai is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Kab Ek Rang Mein Duniya Ka Haal Thahra Hai for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Kab Ek Rang Mein Duniya Ka Haal Thahra Hai in PDF.