Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa

kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa

tamam shahr o bayaban ko chhanti hai hawa

nasib-e-pa-e-junun hai sada ki dar-badri

hawa-e-jada-o-manzil mein kab chali hai hawa

ye pech-o-tab hai kaisa sabab nahin khulta

bana bana ke bagule bigaDti hai hawa

siwae KHak na kuchh hath aaj tak aaya

sarab ret se sahra mein chhanti hai hawa

ghazab ka ghaiz o ghazab tha jo hum na bikhre the

bikhar gae hain to kaisi Dari khaDi hai hawa

ukhaD toD ke basti ke sab makanon ko

chhipi khanDar mein pashiman ro rahi hai hawa

wo ek baat jo KHud se bhi hum na kahte the

zaban zaban pe wahi baat dhar gai hai hawa

tamam lala o gul ke charagh raushan hain

shajar shajar pe shagufon mein jal rahi hai hawa

kab apna hath pahunchta gulab tak 'bilqis'

mere nasib se shaKHon mein ja phansi hai hawa

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa in PDF.