Meri Hatheli Mein Likkha Hua Dikhai De

meri hatheli mein likkha hua dikhai de

wo shaKHs mujh ko ba-rang-e-hina dikhai de

use jo dekhun to apna suragh paun main

isi ke nam mein apna pata dikhai de

rawish pe jalen us ki aahaTon se charagh

ajab KHiram hai aawaz-e-pa dikhai de

jo mehrban hai to kya mehrban KHafa to KHafa

kabhi kabhi to wo bilkul KHuda dikhai de

saman saman hai dhundalka dhuan dhuan manzar

jidhar bhi dekhun bas ek KHwab sa dikhai de

junun ne baKHsh din nazron ko wusaten kya kya

ki zarre zarre mein sahra bichha dikhai de

na meri tarah koi dekh le use 'bilqis'

main kyun bataun mujhe us mein kya dikhai de

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Hatheli Mein Likkha Hua Dikhai De In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Meri Hatheli Mein Likkha Hua Dikhai De is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Meri Hatheli Mein Likkha Hua Dikhai De for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Meri Hatheli Mein Likkha Hua Dikhai De in PDF.