Nazar Aata Hai Wo Jaisa Nahin Hai

nazar aata hai wo jaisa nahin hai

jo kahte ho magar waisa nahin hai

nahin hota hai kya kya is jahan mein

wahi jo chahiye hota nahin hai

bhara hai shahr firaunon se apna

koi hota jo ek musa nahin hai

chalo ek aur koshish kar ke dekhen

yunhi ghuT ghuT ke mar jaana nahin hai

nahin hai KHwab diwane ka hasti

ye duniya sirf ek dhoka nahin hai

nihayat talKH hai sangin sach hai

haqiqat apni afsana nahin hai

namak ashkon ka dil ko lag gaya hai

yahan ab kuchh kahin ugta nahin hai

jo karna chahiye wo hi kiya hai

milega ajr kya socha nahin hai

sunae ja rahe hain apni apni

aji suniye mujhe sunna nahin hai

hamein chheDe nahin 'bilqis' koi

hamara aaj ji achchha nahin hai

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aata Hai Wo Jaisa Nahin Hai In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Nazar Aata Hai Wo Jaisa Nahin Hai is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Nazar Aata Hai Wo Jaisa Nahin Hai for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Nazar Aata Hai Wo Jaisa Nahin Hai in PDF.