PatjhaD Ka Mausam Tha Lekin ShaKH Pe Tanha Phul Khila Tha

patjhaD ka mausam tha lekin shaKH pe tanha phul khila tha

jis ko hum patthar samjhe the chashme jaisa phuT baha tha

ab to aankhen pap-bhari hain ek samay yaro aisa tha

agle ghar ki chhat ke pichhe chand bahut pyara lagta tha

nang-dhaDang ek nanha-munna pichhe pichhe dauD raha tha

aage uDne wale waqt ne pal-bhar ko muD kar dekha tha

phulon wale tarkash ke ek tir ne meri aankhen le lin

aur jis ne chilla khincha tha wo bhi ek andha laDka tha

ghar se niklo dhup mein baiTho dekho us pipal ka saya

jis ke niche tum aisa ek bhola bachcha khel raha tha

jo pagal aurat parson tak ek guDiya nocha karti thi

kal us ki jhilmil chunari mein ek maTiyala guDDa sa tha

yun to hari-bhari rahon mein roz naya mela lagta hai

jab main ghar se nikla ya to main tha ya mera saya tha

main samjha tha mere sar aur zaKHm ki nisbat pur-mani hai

aur koi tha jis ki KHatir bachchon ne patthar phenka tha

ashk' ek muddat tak gum-sum se peD ne rim-jhim barkha jheli

aag lagi to chingari ke chaaron-or dhuan phaila tha

(6968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PatjhaD Ka Mausam Tha Lekin ShaKH Pe Tanha Phul Khila Tha In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. PatjhaD Ka Mausam Tha Lekin ShaKH Pe Tanha Phul Khila Tha is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem PatjhaD Ka Mausam Tha Lekin ShaKH Pe Tanha Phul Khila Tha for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download PatjhaD Ka Mausam Tha Lekin ShaKH Pe Tanha Phul Khila Tha in PDF.