Qabil-e-sharh Mera Haal-e-dil-e-zar Na Tha

qabil-e-sharh mera haal-e-dil-e-zar na tha

sunne wale to bahut the koi gham-KHwar na tha

ab wo jine ke liye soch raha hai tadbir

apne hathon jise marna kabhi dushwar na tha

mujh se puchho to qaza us ki hai maut us ki hai

dosh-e-ahbab pe jo mar ke giran-bar na tha

chunte the bagh mein aa aa kar unhen ahl-e-junun

aashiyan ka mere tinka koi bekar na tha

ye hamin ne to mohabbat ki nikalin rasmen

aap par marne ko pahle koi tayyar na tha

dam-e-sayyaad mein aazad raha shikwa-e-gham

main giraftar tha lekin ye giraftar na tha

ab unhen samne aane mein hai uzr ai 'bismil'

milne-julne se jinhen peshtar inkar na tha

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qabil-e-sharh Mera Haal-e-dil-e-zar Na Tha In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Qabil-e-sharh Mera Haal-e-dil-e-zar Na Tha is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Qabil-e-sharh Mera Haal-e-dil-e-zar Na Tha for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Qabil-e-sharh Mera Haal-e-dil-e-zar Na Tha in PDF.