Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai

ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai

koi parwana jal marne ko kya mahfil mein baqi hai

hazaron uTh gae duniya se apni jaan de de kar

magar ek bhiD phir bhi kucha-e-qatil mein baqi hai

hue wo mutmain kyun sirf mere dam nikalne par

abhi to ek duniya-e-tamanna dil mein baqi hai

hua tha gharq bahr-e-ishq is andaz se koi

ki naqsha Dubne ka dida-e-sahil mein baqi hai

qaza se koi ye kah de ki mushtaq-e-shahadat hun

abhi ek marne wala kucha-e-qatil mein baqi hai

kahan fursat hujum-e-ranj-o-gham se hum jo ye jaanchen

ki nikli kya tamanna kya tamanna dil mein baqi hai

abhi se apna dil thame hue kyun log baiThe hain

abhi to hashr uThne ko teri mahfil mein baqi hai

wahan the jama jitne marne wale mar gae wo sab

qaza le-de ke bas ab kucha-e-qatil mein baqi hai

abhi se tu ne qatil myan mein talwar kyun rakh li

abhi to jaan thoDi si tan-e-'bismil' mein baqi hai

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai in PDF.