Yaad Aata Hai Saman Mujhko KHud-arai Ka

yaad aata hai saman mujh ko KHud-arai ka

chandni raat mein aalam teri angDai ka

aaina aaina-ruyon ko ye deta hai sabaq

kuchh samajh bujh ke dawa karo yaktai ka

aur bhi josh baDha ho gain maujen be-tab

aks dariya mein paDa jab teri angDai ka

mere dil mein meri aankhon mein hain teri shaklen

zeb deta nahin dawa tujhe yaktai ka

dil hua zer-o-zabar aah bhi hum kar na sake

rah gae dekh ke naqsha teri angDai ka

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Aata Hai Saman Mujhko KHud-arai Ka In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Yaad Aata Hai Saman Mujhko KHud-arai Ka is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Yaad Aata Hai Saman Mujhko KHud-arai Ka for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Yaad Aata Hai Saman Mujhko KHud-arai Ka in PDF.