Un Se Kah Do Ki Ilaj-e-dil-e-shaida Na Karen

un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen

yahi achchha hai ki bimar ko achchha na karen

kya kaha phir to kaho hum koi shikwa na karen

chup rahen zulm sahen zulm ka charcha na karen

ye tamasha to karen ruKH se uTha den wo naqab

ek aalam ko magar mahw-e-tamasha na karen

waqt-e-aKHir to nikal jae tamanna meri

wo na aise mein bhi aaen kahin aisa na karen

intiha ho gai aazad-dahi ki sayyaad

hum tasawwur mein bhi gulzar ko dekha na karen

roz wo kahte hain aaj aaenge kal aaenge

aise wade se to behtar hai ki wada na karen

KHud-numai unhen ghairon mein liye phirti hai

hum to jab jaanen ki hum se bhi wo parda na karen

tegh ruk jati hai nawak bhi bahak jata hai

koi 'bismil' ko ye samjha de ki taDpa na karen

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Se Kah Do Ki Ilaj-e-dil-e-shaida Na Karen In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Un Se Kah Do Ki Ilaj-e-dil-e-shaida Na Karen is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Un Se Kah Do Ki Ilaj-e-dil-e-shaida Na Karen for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Un Se Kah Do Ki Ilaj-e-dil-e-shaida Na Karen in PDF.