Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar

ab dam-ba-KHud hain nabz ki raftar dekh kar

tum hans rahe ho haalat-e-bimar dekh kar

sauda wo kya karega KHaridar dekh kar

ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar

allah tere hath hai ab aabru-e-shauq

dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh kar

deta kahan hai waqt paDe par koi bhi sath

hum ko musibaton mein giraftar dekh kar

aate hain mai-kade ki taraf se janab-e-shaiKH

sargoshiyan hain laghzish-e-raftar dekh kar

ghairon ne ghair jaan ke hum ko uTha diya

baiThe jahan bhi saya-e-diwar dekh kar

aate hain bazm-e-yaran mein pahchan hi gaya

mai-KHwar ki nigah ko mai-KHwar dekh kar

is madh-bhari nigah ki allah-re kashish

sau bar dekhna paDa ek bar dekh kar

tum rahnuma-e-waqt sahi phir bhi chand gam

chalna paDega waqt ki raftar dekh kar

waqt-e-sahar guzar gai kya kiya na puchhiye

gardan mein un ki sukhe hue haar dekh kar

talchhaT mila ke deta hai rindon ko saqiya

saghar paTak na de koi hoshyar dekh kar

'bismil' ko kya hai chadar-e-rahmat rasul ki

saye mein le hi legi gunahgar dekh kar

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar in PDF.