Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se

ab mulaqat kahan shishe se paimane se

fatiha paDh ke chale aae hain mai-KHane se

kya karen jam-o-subu hath pakaD lete hain

ji to kahta hai ki uTh jaiye mai-KHane se

phunk kar hum ne har ek gam pe rakkha hai qadam

aasman phir bhi na baz aaya sitam Dhane se

hum ko jab aap bulate hain chale aate hain

aap bhi to kabhi aa jaiye bulwane se

are o wada-faramosh pahaD aisi raat

kya kahun kaise kaTi tere nahin aane se

yaad rakh! waqt ke andaz nahin badlenge

are allah ke bande tere ghabrane se

sar chaDhaen kabhi aankhon se lagaen saqi

tere hathon ki chhalak jae jo paimane se

KHali rakkhi hui botal ye pata deti hai

ki abhi uTh ke gaya hai koi mai-KHane se

aaegi hashr ki naseh ki samajh mein kya KHak

jab samajhdar samajhte nahin samjhane se

barq ke Dar se kaleje se lagae hue hai

chaar tinke jo uTha lai hai virane se

dil zara bhi na pasija but-e-kafir tera

kaba allah ka ghar ban gaya but-KHane se

shama bechaari jo ek munis-e-tanhai thi

bujh gai wo bhi sar-e-sham hawa aane se

ghair kahe ko sunenge tera dukhDa 'bismil'

un ko fursat kahan hai apni ghazal gane se

(1265) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se in PDF.