Kahan Aaya Hai Diwanon Ko Tera Kuchh Qarar Ab Tak

kahan aaya hai diwanon ko tera kuchh qarar ab tak

tere wade pe baiThe kar rahe hain intizar ab tak

KHuda malum kyun lauTi nahin ja kar bahaar ab tak

chaman wale chaman ke waste hain be-qarar ab tak

bura gulchin ko kyun kahiye bure hain KHud chaman wale

bhale hote to kya munh dekhti rahti bahaar ab tak

chaman ki yaad aai dil bhar aaya aankh bhar aai

jahan bola koi gulshan mein baqi hai bahaar ab tak

sabab jo bhi ho surat kah rahi hai raat jage ho

gawahi ke liye baqi hai aankhon mein KHumar ab tak

qayamat aae to un ko bhi aate aate aaega

wo jin ko tere wade par nahin hai e'tibar ab tak

salamat mai-kada thoDi bahut un ko bhi de saqi

takalluf mein jo baiThe rah gae kuchh baada-KHwar ab tak

KHudara dekh le duniya ki phir ye bhi na dekhegi

chaman se jate jate rah gai hai jo bahaar ab tak

qafas mein rahte rahte ek muddat ho gai phir bhi

chaman ke waste rahti hai bulbul be-qarar ab tak

KHabar bhi hai tujhe mai-KHwar to badnam hai saqi

daba kar kitni botal le gae parhez-gar ab tak

are daman chhuDa kar jaane wale kuchh KHabar bhi hai

tere qadmon se hai lipTi hui KHak-e-mazar ab tak

ye kahne wale kahte hain ki tauba kar chuke 'bismil'

magar dekhe gae hain mai-kade mein bar bar ab tak

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Aaya Hai Diwanon Ko Tera Kuchh Qarar Ab Tak In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Kahan Aaya Hai Diwanon Ko Tera Kuchh Qarar Ab Tak is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Kahan Aaya Hai Diwanon Ko Tera Kuchh Qarar Ab Tak for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Kahan Aaya Hai Diwanon Ko Tera Kuchh Qarar Ab Tak in PDF.