KHizan Jab Tak Chali Jati Nahin Hai

KHizan jab tak chali jati nahin hai

chaman walon ko nind aati nahin hai

jafa jab tak ki chaunkati nahin hai

mohabbat hosh mein aati nahin hai

jo rota hun to hansta hai zamana

jo sota hun to nind aati nahin hai

tumhaari yaad ko allah rakkhe

jab aati hai to phir jati nahin hai

kali bulbul se shoKHi kar rahi hai

zara phulon se sharmati nahin hai

jahan mai-kash bhi jaen Darte Darte

wahan waiz ko sharm aati nahin hai

nahin milti to hangame hain kya kya

jo milti hai to pi jati nahin hai

jawani ki kahani dawar-e-hashr

sar-e-mahfil kahi jati nahin hai

kahan tak shaiKH ko samjhaiyega

buri aadat kabhi jati nahin hai

ghaDi bhar ko jo bahlae mera dil

koi aisi ghaDi aati nahin hai

hansi 'bismil' ki haalat par kisi ko

kabhi aati thi ab aati nahin hai

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Jab Tak Chali Jati Nahin Hai In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. KHizan Jab Tak Chali Jati Nahin Hai is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem KHizan Jab Tak Chali Jati Nahin Hai for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download KHizan Jab Tak Chali Jati Nahin Hai in PDF.