KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se

KHizan ke jaane se ho ya bahaar aane se

chaman mein phul khilenge kisi bahane se

wo dekhta rahe muD muD ke su-e-dar kab tak

jo karwaTen bhi badalta nahin Thikane se

ugal na sang-e-malamat KHuda se Dar naseh

milega kya tujhe shishon ke TuT jaane se

zamana aap ka hai aur aap us ke hain

laDai mol len hum muft kyun zamane se

KHuda ka shukr sawere hi aa gaya qasid

main bach gaya shab-e-furqat ke naz uThane se

main kuchh kahun na kahun kah rahi hai KHak-e-jabin

ki is jabin ko hai nisbat ek aastane se

qayamat aae qayamat se main nahin Darta

uTha to de koi parda kisi bahane se

KHabar bhi hai tujhe aaina dekhne wale

kahan gaya hai dupaTTa sarak ke shane se

ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil'

na ro sake na kabhi hans sake Thikane se

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se in PDF.