Meri Dua Ki Ghair Pe Unki Nazar Na Ho

meri dua ki ghair pe un ki nazar na ho

wo hath uTha rahe hain ki yarab asar na ho

hum ko bhi zid yahi hai ki teri sahar na ho

ai shab tujhe KHuda ki qasam muKHtasar na ho

tum ek taraf tumhaari KHudai hai ek taraf

hairat-zada hai dil ki kidhar ho kidhar na ho

dushwar-tar bhi sahl hai himmat ke samne

ye ho to koi aisi muhim hai ki sar na ho

jab wo na aae fatiha paDhne to ai saba

baz aa gaya main shama bhi ab nauhagar na ho

ye kah ke deti jati hai taskin shab-e-firaq

wo kaun si hai raat ki jis ki sahar na ho

'bismil' buton ka ishq mubarak tumhein magar

itne niDar na ho ki KHuda ka bhi Dar na ho

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Dua Ki Ghair Pe Unki Nazar Na Ho In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Meri Dua Ki Ghair Pe Unki Nazar Na Ho is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Meri Dua Ki Ghair Pe Unki Nazar Na Ho for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Meri Dua Ki Ghair Pe Unki Nazar Na Ho in PDF.