Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko

sochne ka bhi nahin waqt mayassar mujh ko

ek kashish hai jo liye phirti hai dar dar mujh ko

apna tufan na dikhae wo samundar mujh ko

chaar qatre na hue jis se mayassar mujh ko

umr bhar dair-o-haram ne diye chakkar mujh ko

be-kasi ka ho bura le gai ghar ghar mujh ko

shukr hai rah gaya parda meri uryani ka

KHak kuche ki tere ban gai chadar mujh ko

chup rahun main to KHamoshi bhi gila ho jae

aap jo chahen wo kah den mere munh par mujh ko

KHak chhana kiye hum qafile walon ke liye

qafile walon ne dekha bhi na muD kar mujh ko

aap zalim nahin, zalim hai magar aap ki yaad

wahi kam-baKHt satati hai barabar mujh ko

inqilabaat ne kuchh aisa pareshan kiya

ki sujhai nahin deta hai tera dar mujh ko

jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin

panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko

mil gai tishnagi-e-shauq se fursat ta-umr

apne hathon se diya aap ne saghar mujh ko

ab mera jazba-e-taufiq hai aur main 'bismil'

KHizr gum ho gae raste pe laga kar mujh ko

(1037) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko in PDF.