Sari Ummid Rahi Jati Hai

sari ummid rahi jati hai

hae phir subh hui jati hai

nind aati hai na wo aate hain

raat guzri hi chali jati hai

majma-e-hashr mein rudad-e-shabab

wo sune bhi to kahi jati hai

dastan puri na hone pai

zindagi KHatm hui jati hai

wo na aae hain to bechain hai ruh

abhi aati hai abhi jati hai

zindagi aap ke diwane ki

kisi surat se kaTi jati hai

gham mein parwanon ke ek muddat se

shama ghulti hi chali jati hai

aap mahfil se chale jate hain

dastan baqi rahi jati hai

hum to 'bismil' hi rahe KHair hui

ishq mein jaan chali jati hai

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sari Ummid Rahi Jati Hai In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Sari Ummid Rahi Jati Hai is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Sari Ummid Rahi Jati Hai for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Sari Ummid Rahi Jati Hai in PDF.