Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai

ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar

le teri himmat ka charcha ghair ki mahfil mein hai

wae qismat panw ki ai zoaf kuchh chalti nahin

karwan apna abhi tak pahli hi manzil mein hai

rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein

lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai

shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le

ek KHushi ka raaz pinhan jada-e-manzil mein hai

aaj phir maqtal mein qatil kah raha hai bar bar

aaen wo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil mein hai

marne walo aao ab gardan kaTao shauq se

ye ghanimat waqt hai KHanjar kaf-e-qatil mein hai

mane-e-izhaar tum ko hai haya, hum ko adab

kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamare dil mein hai

mai-kada sunsan KHum ulTe paDe hain jam chur

sar-nigun baiTha hai saqi jo teri mahfil mein hai

waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman

hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai

ab na agle walwale hain aur na wo arman ki bhiD

sirf miT jaane ki ek hasrat dil-e-'bismil' mein hai

(3427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai in PDF.