Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain

ye but phir ab ke bahut sar uTha ke baiThe hain

KHuda ke bandon ko apna bana ke baiThe hain

hamare samne jab bhi wo aa ke baiThe hain

to muskura ke nigahen chura ke baiThe hain

kaleja ho gaya zaKHmi firaq-e-jaanan mein

hazaron tir-e-sitam dil pe kha ke baiThe hain

tum ek bar to ruKH se naqab sarka do

hazaron talib-e-didar aa ke baiThe hain

ubhar jo aati hai har bar mausam-e-gul mein

ek aisi choT kaleje mein kha ke baiThe hain

ye but-kada hai idhar aaiye zara 'bismil'

buton ki yaad mein bande KHuda ke baiThe hain

pasand aaegi ab kis ki shakl 'bismil' ko

nazar mein aap jo us ki sama ke baiThe hain

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain in PDF.