Hairan Hun Ki Ab Laun Kahan Se Main Zaban Aur

hairan hun ki ab laun kahan se main zaban aur

lab kahte hain kuchh aur unhen hota hai guman aur

jaen to kahan jaen mohabbat ke KHaridar

arbab-e-siyasat ne to kholi hai dukan aur

malum nahin hai mere sayyaad ko shayad

ghuTti hai agar sans to khulti hai zaban aur

ab wada-e-farda mein kashish kuchh nahin baqi

dohrai hui baat guzarti hai giran aur

dekhegi jo ek pal mein meri aankh se tujh ko

ho jaegi duniya teri jaanib nigaran aur

lag jati hain mohren si labon par unhen mil kar

hota hai magar dil ke dhaDakne ka saman aur

khulti hain nahin hashr ke din bhi meri aankhen

shayad ki muqaddar mein hai ek KHwab-e-giran aur

hum rakh hue us pe magar aanch na aai

jalne ka saman aur jalane ka saman aur

go arz-o-talab ek hasin shaghl hai lekin

is khel mein baDh jata hai andesha-e-jaan aur

mearaj-e-takallum hai KHamoshi meri 'bismil'

aati hi nahin koi mujhe tarz-e-fughan aur

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Hun Ki Ab Laun Kahan Se Main Zaban Aur In English By Famous Poet Bismil Sabri. Hairan Hun Ki Ab Laun Kahan Se Main Zaban Aur is written by Bismil Sabri. Read famous Poem Hairan Hun Ki Ab Laun Kahan Se Main Zaban Aur for youth and Student by Bismil Sabri. Free Download Hairan Hun Ki Ab Laun Kahan Se Main Zaban Aur in PDF.