Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya

sahar hui to KHayalon ne mujh ko gher liya

jab aai shab tere KHwabon ne mujh ko gher liya

mere labon pe abhi nam tha bahaaron ka

hujum-e-shauq mein KHaron ne mujh ko gher liya

kabhi junun ke zamane kabhi firaq-ruten

kahan kahan teri yaadon ne mujh ko gher liya

nikal ke aa to gaya gahre paniyon se magar

kai tarah ke sarabon ne mujh ko gher liya

ye ji mein tha ki nikal jaun tujh se dur kahin

ki tere dhyan ki banhon ne mujh ko gher liya

jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah

to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya

hujum-e-ranj se kaise nikal sake 'bismil'

teri talash ke rishton ne mujh ko gher liya

(1108) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya In English By Famous Poet Bismil Sabri. Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya is written by Bismil Sabri. Read famous Poem Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya for youth and Student by Bismil Sabri. Free Download Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya in PDF.