Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai

wo aks ban ke meri chashm-e-tar mein rahta hai

ajib shaKHs hai pani ke ghar mein rahta hai

wahi sitara shab-e-gham ka ek sitara hai

wo ek sitara jo chashm-e-sahar mein rahta hai

khuli faza ka payami hawa ka basi hai

kahan wo halqa-e-diwar-o-dar mein rahta hai

jo mere honTon pe aae to gungunaun use

wo sher ban ke bayaz-e-nazar mein rahta hai

guzarta waqt mera gham-gusar kya hoga

ye KHud taaqub-e-sham-o-sahar mein rahta hai

mera hi rup hai tu ghaur se agar dekhe

bagula sa jo teri rahguzar mein rahta hai

na jaane kaun hai jis ki talash mein 'bismil'

har ek sans mera ab safar mein rahta hai

(2693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai In English By Famous Poet Bismil Sabri. Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai is written by Bismil Sabri. Read famous Poem Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai for youth and Student by Bismil Sabri. Free Download Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai in PDF.