Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai

allah allah wasl ki shab is qadar eajaz hai

ek zara si chiz hai us par bhi itna naz hai

KHair ho yarab ke husn-o-ishq ka aaghaz hai

is taraf dil hai udhar susari nigah-e-naz hai

jab bahaar aai mue pinjre chaman ko uD gaya

is musibat par bhi itni quwwat-e-parwaz hai

chhuT gain nabzen hue lab band putli phir gain

aur wo mardud kahta hai ki ye dam-baz hai

ghair ne mujh ko sata kar jail ki khai hawa

ye na samjha tha ki us ka laTTh be-awaz hai

jab kaha us ne ki uTh be-jhaT main zinda ho gaya

baat ki to baat hai eajaz ka eajaz hai

toD kar badnam tum dil ko mere ho jaoge

is mein poshida mohabbat ka tumhaari raaz hai

ghair ko lae hain mere ghar wo mae bistare

bhed is mein bhi koi us mein bhi koi raaz hai

ishq mein paida nahin hota hai sasura inqalab

husn de jata hai dhoka husn dhoka-baz hai

ab koi din bhi buDhapa Thokaren khilwaega

husn hai chand roza jis pe tum ko naz hai

noch kar mere paron ko kar diya hai DanD-manD

ab na qawwe hai na mujh mein taqat-e-parwaz hai

wasl ki shab chaar-dam chhalle bhi un ke sath hain

yani shoKHi hai shararat hai haya hai naz hai

ghair ki kuchh haisiyat bhi aap ko malum hai

KHud hai chaukidar baada us ka barfandaz hai

meri fariyaad-o-fughan sun kar harami ne kaha

ye usi ullu-ke-paTThe 'bum' ki aawaz hai

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai In English By Famous Poet Boom Merathi. Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai is written by Boom Merathi. Read famous Poem Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai for youth and Student by Boom Merathi. Free Download Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai in PDF.