Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho

ai 'jalis' ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho

ibn-e-adam ho yahi jin-e-wirasat ho to ho

rah gai tanha ye ashk-afshan hamare haal par

gham-gusari apni bhi ek sham-e-turbat ho to ho

aatish-e-gham ne jala kar KHak kar Dala use

dil kahan sine mein ab ek dagh-e-hasrat ho to ho

karwan-e-zindagi ka lag raha hai chal chalao

har-nafas hum ko sada-e-kos-e-rehlat ho to ho

dard-mandon ka yahan koi nahin pursan-e-haal

ai ajal in bekason par teri rahmat ho to ho

gardish-e-dauran muKHalif hai na hai dushman falak

barsar-e-paikar mujh se meri qismat ho to ho

aadmi wo hai jise pas-e-mohabbat ho 'jalis'

aur ye shai aadmi mein aadamiyat ho to ho

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho in PDF.