Dastan-e-shama Thi Ya Qissa-e-parwana Tha

dastan-e-shama thi ya qissa-e-parwana tha

anjuman mein ishq hi unwan har afsana tha

justaju-e-dair-o-kaba se hua zahir yahi

main haqiqat mein KHud apni zat se begana tha

meri hasti thi ba-zat-e-KHud mukammal mai-kada

main kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana tha

hae wo ayyam-e-tifli hae wo ahd-e-shabab

KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha

bad-gumani se hua apne parae ka guman

warna apna tha na duniya mein koi begana tha

chashm-e-bina hi na thi teri wagarna ai kalim

zarre zarre mein zuhur-e-jalwa-e-jaanana tha

mahfil-e-hasti mein dekha hai yahi hum ne 'jalis'

jis ko jitna hosh tha utna hi wo diwana tha

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan-e-shama Thi Ya Qissa-e-parwana Tha In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Dastan-e-shama Thi Ya Qissa-e-parwana Tha is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Dastan-e-shama Thi Ya Qissa-e-parwana Tha for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Dastan-e-shama Thi Ya Qissa-e-parwana Tha in PDF.