Manzaron Ke Darmiyan Manzar Banana Chahiye

manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye

rahnaward-e-shauq ko rasta dikhana chahiye

apne sare raste andar ki jaanib moD kar

manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye

sochna ye hai ki us ki justuju hone talak

sath apne KHud rahen hum ya zamana chahiye

teri meri dastan itni zaruri to nahin

duniya ko kahne ki KHatir bas fasana chahiye

phul ki patti pe likkhun nazm jaisi ek dua

hath uThane ke liye mujh ko bahana chahiye

wasl ki koi nishani hijr ke baham rahe

ab ke sada hath par mehndi lagana chahiye

phul KHushbu rang jugnu raushni ke waste

ghar ki diwaron mein ek rauzan banana chahiye

sham ko wapas palaTte taeron ko dekh kar

sochti hun lauT kar ab ghar bhi jaana chahiye

(1410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzaron Ke Darmiyan Manzar Banana Chahiye In English By Famous Poet Bushra Ejaz. Manzaron Ke Darmiyan Manzar Banana Chahiye is written by Bushra Ejaz. Read famous Poem Manzaron Ke Darmiyan Manzar Banana Chahiye for youth and Student by Bushra Ejaz. Free Download Manzaron Ke Darmiyan Manzar Banana Chahiye in PDF.