Main Jab KHud Se BichhaDti Hun

meri palkon pe tabinda

teri aankhon ke aansu

mujhe tarik raaton mein

nae raste sujhate hain

wajudi wahimon ki sar-zaminon par

main jab KHud se bichhaDti hun

chamakti ret ke zarron ki surat

jab bikharti hun

mujhe wo apne nam se joD dete hain

mujhe KHud se milate hain

main jab din ki bahut lambi masafat mein

udasi ki thakan se chur hoti hun

akele-pan ki wahshat mein

bahut majbur hoti hun

to gahri hanpti shamon ki dahlizon se

wo akasr mujhe dhire se

man! kah kar bulate hain

teri aankhon ke aansu

mujhe kaise anokhe silsilon se

ja milate hain!!

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jab KHud Se BichhaDti Hun In English By Famous Poet Bushra Ejaz. Main Jab KHud Se BichhaDti Hun is written by Bushra Ejaz. Read famous Poem Main Jab KHud Se BichhaDti Hun for youth and Student by Bushra Ejaz. Free Download Main Jab KHud Se BichhaDti Hun in PDF.