Dil Ke ZaKHmon Ki Chubhan Dida-e-tar Se Puchho

dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho

mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchho

ghar jala baiThe charaghon ki hawas mein aaKHir

ghar ki qimat to kisi KHak-basar se puchho

ye to malum hai main samt-e-safar kho baiThi

tum isi baat ko andaz-e-digar se puchho

ret uDti hai sujhai nahin deta kuchh bhi

kaT sakegi kabhi ye raat sahar se puchho

yun to majnun bhi hua kohkan o mansur hue

ghayal ab kaun hua tir-e-nazar se puchho

log kahte hain mujhe sang-e-sar-e-rah 'bushra'

qadr-o-qimat meri kuchh ahl-e-hunar se puchho

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke ZaKHmon Ki Chubhan Dida-e-tar Se Puchho In English By Famous Poet Bushra Hashmi. Dil Ke ZaKHmon Ki Chubhan Dida-e-tar Se Puchho is written by Bushra Hashmi. Read famous Poem Dil Ke ZaKHmon Ki Chubhan Dida-e-tar Se Puchho for youth and Student by Bushra Hashmi. Free Download Dil Ke ZaKHmon Ki Chubhan Dida-e-tar Se Puchho in PDF.