Wirasat

dur kisi basti ki

nim-tarik koThari mein

ek tang chaarpai pe

karahat-zada kokh se

ghaib ki madad ko pukarti

aadhi chiKH

pure jigar se par hui to

nannhi chalai

dil baiTh gae

man ufuq ke par

ja chuki thi

riwayat ki qabr mein

be-hisi ka kafan pahna ke

use tahzib se dafn kar diya gaya

aziyyat mein mubtala zehnon ko

qismat ki goli de kar

sula diya gaya

aur wo nau-maulud bachchi

apni janm-jali man se

nahin kah pai

dekh

wirasat tera KHun pine ke baad

meri ek aur man

khojne nikal paDi hai

(1211) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wirasat In English By Famous Poet Bushra Saeed. Wirasat is written by Bushra Saeed. Read famous Poem Wirasat for youth and Student by Bushra Saeed. Free Download Wirasat in PDF.