Ab Ke Baras Bhi Mahka Mahka KHwab Daricha Lagta Hai

ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai

duniya chand nazar aati hai sab kuchh achchha lagta hai

kya jaen ye kaisi duaen in aankhon ne mangi thin

mujh ko apne kandhon par bhi us ka chehra lagta hai

us ko bichhDe muddat guzri sara jiwan bit gaya

wo aaega kuchh puchhega ab bhi aisa lagta hai

ab bhi sune man-angan mein yaad ke panchhi uDte hain

ab bhi shamen sajti hain yan ab bhi mela lagta hai

jab mamta ki aankhon se main duniya dekha karti hun

apna buDha bap bhi mujh ko nanha bachcha lagta hai

apni har taKHliq hai mujh ko is duniya mein sab se aziz

har ek man ko apna beTa chand ka TukDa lagta hai

'bushra' aao lauT chalen aur KHwab-nagar mein kho jaen

duniya mein to sab kuchh apna dekha-bhaala lagta hai

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Baras Bhi Mahka Mahka KHwab Daricha Lagta Hai In English By Famous Poet Bushra Zaidi. Ab Ke Baras Bhi Mahka Mahka KHwab Daricha Lagta Hai is written by Bushra Zaidi. Read famous Poem Ab Ke Baras Bhi Mahka Mahka KHwab Daricha Lagta Hai for youth and Student by Bushra Zaidi. Free Download Ab Ke Baras Bhi Mahka Mahka KHwab Daricha Lagta Hai in PDF.